Sahitya DarshannStory,Poems.shayari,quotes,Gazals,कवितायें शायरी कहानियाँ

 

heart

khud Nagar Aaoge jo Aankhe mila kar to dekho,

Mere gam mai meri takdeer nazar Aati hai dagmagayege

tere har ak kadam kabhi mera gam ko utha kar dekho,

Youn to Asaan Nazar aata hai Manjil Ka Safar Kitna Mushkil hai

Meri rah se tum kabhi Khud kuch kadam hi sahi par Jaakar to dekho,

Vakt Aur Viswas ka tar-tar hai ak Dhokha kin Andheron mai tune mujhe 

chhoda hai khud ko kabhi aise pal me kuch vakt ke  bita kar to dekho,

Mushkil bahut hai ab Zindagi ki har safar jin andheron se ghiri hu mai

ak bar tanha kuchh pal ke hi sahi par khud ko khud se mila kar dekho,

Mana Dill Tumhara hai, tera ghar h tumhara hai tera khud  ka vakt bhi tumhara hai 

bas ak bar mere sath gujare us lamhe ko thoda hi sahi par lauta kar dekho,

Jitni berukhi se tumne keh diya tu nahi mera koi aur hojayega tera

par jo meri jagah le paye Jara use bhi mere se milva kar dekho,

teri bhi ruh kap jayegi ab karke dhokha mere se ye raha mera vada tum se

bas ak mere tarah apne PAPA aur Apno ke Visvas ke liye jee kar dekha kar to dekho,

Aaina hoon main mere saamne Aakar to dekho

khud Nazar Aaoge jo Aankhe mila kar to Dekho!! broken heart

 

Share